ye ehtiyāt ishq pe lāzim sadā rahe
har-chand qurbateñ hoñ magar fāsla rahe
hājat nahīñ kī jām-o-subū mai-kada rahe
dil kā tirī nigāh se bas rābta rahe
māh-o-nujūm-o-shams kī tham jaa.eñ gardisheñ
Thahre tirī nazar to zamāna rukā rahe
ma.amūr ḳhushbūoñ se rahe gulshan-e-vajūd
bas ik tujhī ko zehn agar sochtā rahe
rānā.i-e-jamāl kā aalam na pūchhiye
ik baar dekh le jo use dekhtā rahe
fariyād le ke jaa.eñ bhī ahl-e-chaman kahāñ
jab bāġhbāñ ḳhud apnā chaman lūTtā rahe
kuchh der aur ai shab-e-hijrāñ Thahar abhī
kuchh der aur dard kā tūfāñ uThā rahe