Rohit Soni Tabish

hawa-e-zindagi bhi kucha-e-qatil se aati hai

Rohit Soni Tabish

Gonda, Uttar pradesh, India

1988
havā-e-zindagī bhī kūcha-e-qātil se aatī hai
samajh is baat kī lekin zarā mushkil se aatī hai
yūñhī hotī nahīñ hai vus.at-e-fikr-o-nazar paidā
basārat meñ basīrat dar-haqīqat dil se aatī hai
kamāl-e-ishq kā yuuñ bhī kabhī andāz hotā hai
sū-e-parvāna sham.a chal ke ḳhud mahfil se aatī hai
ḳhayāloñ meñ ġham-e-sūd-o-ziyāñ kuchh bhī nahīñ rahtā
mohabbat kī ye ḳhūbī sa.i-e-lā-hāsil se aatī hai
vo aalam kaun sā aalam hai jo pinhāñ nahīñ mujh meñ
jo gosh-e-fikr vā ho ye sadā bhī dil se aatī hai
koī tūfān bas aane hī vaalā hai samundar meñ
ki bū is baat kī ḳhāmoshī-e-sāhil se aatī hai
nigāheñ qais kī yuuñ hī nahīñ haiñ mahv-e-nazzāra
ziyā lailā kī hai jo parda-e-mahmil se aatī hai
nahīñ aatī hai jab ye to kisī par bhī nahīñ aatī
magar aatī hai jab apnī tabī.at dil se aatī hai
nahīñ rahtā tafāvut jab visāl-o-hijr meñ kuchh bhī
ye manzil intizār-e-shauq meñ mushkil se aatī hai
lahū kī chhīñT tak qātil ke dāman par nahīñ koī
taḌapne kī adā aisī baḌī mushkil se aatī hai
Top Urdushayar.com