nikālo koī to sūrat ki tīrgī kam ho
hamārā ghar hī jalā do jo raushnī kam ho
hamāre ahd ko raas aa ga.ī vo bād-e-sumūm
ki jis meñ maut ziyāda ho zindagī kam ho
zamāne kaise tujhe apnī raah par laa.e
ham ahl-e-ishq kī kaise ye bebasī kam ho
kisī tarah to numā.ish kā ye nasha utre
kisī tarah to dikhāve kī zindagī kam ho
ye kyā hamesha vafā-o-ḳhulūs kī bāteñ
kuchh aisī baat karo jo kahī sunī kam ho
koī jatan to karo dosto bulāo use
mirī nigāh kī us kī ye pyaas hī kam ho
tumhārā merā ye rishta ajiib hai ki jahāñ
na dostī hī ghaTe aur na dushmanī kam ho