Rohit Soni Tabish

garche mere KHulus se wo be-KHabar na tha

Rohit Soni Tabish

Gonda, Uttar pradesh, India

1988
garche mire ḳhulūs se vo be-ḳhabar na thā
phir bhī mirī vafāoñ kā us par asar na thā
maiñ us fareb-e-husn se ḳhud bā-ḳhabar na thā
vo thā to mere saath ba-zāhir magar na thā
apnā use banā na sakā maiñ tamām umr
mujh meñ bahut hunar the magar ye hunar na thā
lab the ḳhamosh ḳhauf se iz.hār-e-ishq ke
par āñsuoñ ko mere kisī kā bhī Dar na thā
saare jahāñ kī ḳhaak ko ham chhānne ke ba.ad
lauTe to dekhā apnā ghar ab apnā ghar na thā
bīmār-e-ġham ke vāste kyā maut ke sivā
koī ilaaj dahr meñ ai chāra-gar na thā
kyā mai-kade kā nazm bhī tabdīl ho gayā
saaqī jo daur-e-jām idhar thā udhar na thā
hotī bhī fat.h kaise mirī jab the saath saath
vo log jin ke shāne pe ḳhud apnā sar na thā
kyuuñ us ne kī na zahmat-e-chāra-garī qubūl
kyā us ke paas chāra-e-zaḳhm-e-jigar na thā
coffē thā mujh ko rāh-e-vafā meñ ḳhayāl-e-yār
'tābish' balā se koī mirā ham-safar na thā
Top Urdushayar.com