jab ki saarī kā.enāt us kī nigahbānī meñ hai
dil azal hī se na jaane kaisī hairānī meñ hai
merī fitrat bhī to shāmil merī nādānī meñ hai
laġhzish-e-ādam jo pinhāñ ḳhūn-e-insānī meñ hai
jaane kis hañgām meñ Daalī ga.ī buniyād-e-dil
dil jo ab tak mubtalā rañj-o-pareshānī meñ hai
duur kar detā hai bas ik pal meñ sab shikve-gile
ye karishma bhī kisī kī aañkh ke paanī meñ hai
kyā samajh pā.eñge ye ahl-e-ḳhirad is raaz ko
lutf dānā.ī meñ kab vo hai jo nādānī meñ hai
dil meñ aatā hai hisār-e-har-talab ko toḌ duuñ
aisī ḳhvāhish bhī tamannāoñ kī tuġhyānī meñ hai
ho ga.ī aadam se ye kaisī ḳhatā jis ke evaz
nasl-e-ādam aaj tak aisī pashemānī meñ hai
koī sūrat jab na ban paa.ī to ronā aa gayā
kuchh to taskīn-e-ġham-e-dil ashk-afshānī meñ hai
gar mile ḳhud meñ samo leñ saare insānoñ kā dard
is qadar vus.at hamārī tañg-dāmānī meñ hai