Rohit Soni Tabish

tilism-e-nashsha-e-duniya bhi aaj KHatm hua

Rohit Soni Tabish

Gonda, Uttar pradesh, India

1988
tilism-e-nashsha-e-duniyā bhī aaj ḳhatm huā
jo ho rahā thā tamāsha bhī aaj ḳhatm huā
milā jo us se to us ne bhī pher lī nazreñ
chalo ye āḳhirī rishta bhī aaj ḳhatm huā
girā zamīñ pe sitāra ye kis ke mizhgāñ se
ye kis ke dil kā sahārā bhī aaj ḳhatm huā
mile jo barsoñ ke pyāse to aise ek hue
ki ehtiyāt kā pahra bhī aaj ḳhatm huā
jo rafta-rafta huī ḳhatm vaz-e-derīna
mohabbatoñ kā salīqa bhī aaj ḳhatm huā
tumhārī yaad se samjhauta kar liyā maiñ ne
ḳhayāl-e-va.ada-e-fardā bhī aaj ḳhatm huā
na jaane kaise tujhe apnā maan baiThā thā
mirī nazar kā vo dhoka bhī aaj ḳhatm huā
tire taġhāful-e-paiham ne kar diyā māyūs
mirā vo zauq-e-tamannā bhī aaj ḳhatm huā
vo dil bhī le ga.e pahlū se uTh ke ai 'tābish'
ye roz roz kā jhagḌā bhī aaj ḳhatm huā
Top Urdushayar.com