rū-e-zamīñ nahīñ ki sar-e-āsmāñ nahīñ
sach pūchhiye to us ke nishāñ haiñ kahāñ nahīñ
ḳhud ham meñ aaj himmat o azm-e-javāñ nahīñ
varna pahuñch se duur kabhī āsmāñ nahīñ
bas ek zāt-e-haq ke sivā kā.enāt meñ
har shai fanā-pazīr hai kuchh jāvedāñ nahīñ
tum ne jo kuchh kahā so kahā apnā apnā zarf
aisā nahīñ ki mere dahan meñ zabāñ nahīñ
dil meñ hamāre hasrat-o-armāñ kā hai hujūm
kaise kaheñ ki ham pe koī mehrbāñ nahīñ
kar arz-e-mudda.ā magar ai dil rahe ḳhayāl
inkār kar diyā to karegā vo haañ nahīñ
'tābish' vo sāmne hī hai uḌtā huā ġhubār
bas do qadam se duur hai ab kārvāñ nahīñ