ishq ko jab husn se nazreñ milānā aa gayā
ḳhud-ba-ḳhud ghabrā ke qadmoñ meñ zamāna aa gayā
jab ḳhayāl-e-yār dil meñ vālehāna aa gayā
lauT kar guzrā huā kāfir zamāna aa gayā
ḳhushk āñkheñ phīkī phīkī sī hañsī nazroñ meñ yaas
koī dekhe ab mujhe aañsū bahānā aa gayā
ġhuncha o gul maah o anjum sab ke sab bekār the
aap kyā aa.e ki phir mausam suhānā aa gayā
maiñ bhī dekhūñ ab tirā zauq-e-junūn-e-bandagī
le jabīn-e-shauq un kā āstāna aa gayā
husn-e-kāfir ho gayā āmāda-e-tark-e-jafā
phir 'asad' merī tabāhī kā zamāna aa gayā