jab apne pairahan se ḳhushbū tumhārī aa.ī
ghabrā ke bhuul baiThe ham shikva-e-judā.ī
fitrat ko zid hai shāyad duniyā-e-rañg-o-bū se
kāñToñ kī umr āḳhir kaliyoñ ne kyuuñ na paa.ī
allāh kyā huā hai zom-e-ḳhud-etamādī
kuchh log de rahe haiñ hālāt kī duhā.ī
ġhunchoñ ke dil bajā.e khilne ke shaq hue haiñ
ab ke baras na jaane kaisī bahār aa.ī
is zindagī kā ab tum jo chāho naam rakh do
jo zindagī tumhāre jaane ke baad aa.ī