ab niiñd kahāñ ā.ankhoñ meñ sho.ala sā bharā hai
ye tapte hue hoñToñ ko takne kī sazā hai
āshob jahāñ-guzarāñ ne ye kiyā hai
is daur kā har fard-o-bashar ābla-pā hai
ai shabnam-e-giryāñ tujhe is kā bhī patā hai
kaliyoñ kā tabassum bhī bahut dard-numā hai
har ahl-e-havas zīnat-e-ḳhalvat-kada-e-nāz
har ahl-e-vafā aaj sar-e-dār khaḌā hai
ik nūr-e-mujassam ke parastār haiñ 'aḳhtar'
ham kah nahīñ sakte haiñ vo but hai ki ḳhudā hai