apnī nā-karda-gunāhī kī sazā ho jaise
ham se is shahr meñ har ek ḳhafā ho jaise
sochte chehroñ pe jalte hue āsār-e-hayāt
yak-ba-yak vaqt kā irfān huā ho jaise
ye dhundalke ye dar-o-bām kā gambhīr sukūt
chāñdnī raat meñ mahtāb luTā ho jaise
tujh se milne kī tamannā tirī qurbat kā ḳhayāl
reg-zāroñ meñ koī phuul khilā ho jaise
vahī ḳhūbī vahī iḳhlās-o-muravvat ke nishāñ
Hyderabad ki ik shahr-e-vafā ho jaise