bujhā bhī jaa.e koī aa ke āñdhiyoñ kī tarah
ki jal rahā huuñ ka.ī yug se maiñ diyoñ kī tarah
vo dostoñ kī tarah hai na dushmanoñ kī tarah
maiñ jis ko dekh ke hairāñ huuñ ā.īnoñ kī tarah
maiñ us ko dekh to saktā huuñ chhū nahīñ saktā
vo mere paas bhī hotā hai fāsloñ kī tarah
vo aa bhī jaa.e to us ko kahāñ biThā.ūñgā
maiñ apne ghar meñ to rahtā huuñ be-gharoñ kī tarah
na jaane raat ga.e kis kī nuqra.ī āvāz
khanaktī hai mere kānoñ meñ chūḌiyoñ kī tarah