Wakil Akhtar

zindagi dast-e-tah-e-sang rahi hai barson

Wakil Akhtar

Gaya, Bihar, India

1936-1971
zindagī dast-e-tah-e-sañg rahī hai barsoñ
ye zamīñ ham pe bahut tañg rahī hai barsoñ
tum ko paane ke liye tum ko bhulāne ke liye
dil meñ aur aql meñ ik jañg rahī hai barsoñ
apne hoñToñ kī dahaktī huī surḳhī bhar do
dāstāñ ishq kī be-rañg rahī hai barsoñ
dil ne ik chashm-e-zadan meñ hī kiyā hai vo kaam
jis pe duniyā-e-ḳhirad dañg rahī hai barsoñ
kis ko ma.alūm nahīñ vaqt ke dil kī dhaḌkan
merī hamrāz-o-ham-āhañg rahī hai barsoñ
saaf tārīḳh ye kahtī hai ki mansūrī se
muzmahil satvat-e-aurañg rahī hai barsoñ
merī hī ābla-pā.ī kī badaulat 'aḳhtar'
rah-guzar un kī shafaq-rañg rahī hai barsoñ
Top Urdushayar.com