to kyā huā jo mire saath aaj tū nahīñ hai
faqat yahī ki hai vīrānī hāv-hū nahīñ hai
tumhāre saath jo ik roz merī baat na ho
to yuuñ lage ki kisī se bhī guftugū nahīñ hai
ye zaḳhm-e-dil kī numā.ish nahīñ tamāshā-garo
dar-asl baat ye hai pairahan rafū nahīñ hai
kisī ne dekhā nahīñ ham ne jaise dekhā use
ġhalat kahā hai kisī ne vo ḳhūb-rū nahīñ hai
abhī abhī jo mujhe tujh pe pyaar aa rahā hai
ḳhudā kā shukr adā kar tū rū-ba-rū nahīñ hai
maiñ aap apnā muḳhālif maiñ aap apnā harīf
mire alāva mirā koī bhī adū nahīñ hai