Arshad Abbas Zaki

KHafa hain is liye wo humse farmaish nahin karte

Arshad Abbas Zaki

Multan, Punjab, Pakistan

1983
ḳhafā haiñ is liye vo ham se farmā.ish nahīñ karte
so ham bhī dhuup aur saa.e kī paimā.ish nahīñ karte
zamāna har chamaktī chiiz ko sonā samajhtā hai
hamārā mas.ala ye hai ki ārā.ish nahīñ karte
zarūrat āshkārā kartī hai nām-o-nasab sab kā
vagarna jo hasīñ hote haiñ zebā.ish nahīñ karte
utar saktī nahīñ dil-ā.ine meñ raushnī jab tak
ham us se saaf saarī gard-o-ālā.ish nahīñ karte
zakī har ek ḳhvāhish kī chukānā paḌtī hai qīmat
talab ham is liye ab us se āsā.ish nahīñ karte
Top Urdushayar.com