Arshad Abbas Zaki

ghazal ko gardish-e-ayyam se nikalte hain

Arshad Abbas Zaki

Multan, Punjab, Pakistan

1983
ġhazal ko gardish-e-ayyām se nikālte haiñ
use na hone ke ib.hām se nikālte haiñ
ye log kyuuñ tirī takzīb karte haiñ jabki
hazār kaam tire naam se nikālte haiñ
ye sher haiñ hameñ ḳhairāt meñ nahīñ milte
kabhī dhueñ se kabhī jaam se nikālte haiñ
tujhe ḳhabar hī nahīñ hai ki ham visāl kī faal
kabhī sahar se kabhī shaam se nikālte haiñ
ḳhudāyā dasht-e-safar ḳhatm kyuuñ nahīñ hotā
surāġh-e-rāh to har gaam se nikālte haiñ
ab intizār yahī hai ki kab hamāre imaam
hameñ musībat-o-ālām se nikālte haiñ
kuchh aur kāmoñ meñ dil ko lagā ke dekheñ 'zakī'
ise tilism-e-shafaq-fām se nikālte haiñ
Top Urdushayar.com