jaatī nahīñ hai us kī mahak tak lihāf se
aa.ī thī ek baar parī koh-e-qāf se
āñkhoñ meñ raushnī kā samundar umaD paḌā
jaise hī us badan ko nikālā ġhilāf se
tujh ko kabhī bhī merī zarūrat nahīñ rahī
māyūs ho gayā huuñ maiñ is inkishāf se
tujh se hameñ shadīd mohabbat hai is liye
karte haiñ ittifāq tire iḳhtilāf se
ye soch kar bhī chhat kī marammat na kī 'zakī'
taaza havā to aatī rahegī shigāf se