bas tirā ism munājāt meñ rakkhā huā hai
gardish-e-vaqt ko auqāt meñ rakkhā huā hai
ye tire adl-o-musāvāt meñ rakkhā huā hai
tū ne to ajr bhī darjāt meñ rakkhā huā hai
ab mujhe jā ke har ik dar pe sadā denī hai
jab mirā rizq hī ḳhairāt meñ rakkhā huā hai
apnī har baat pe hotā hai vilāyat kā gumāñ
ishq ne kaise tilismāt meñ rakkhā huā hai
tū ne jo āḳhirī maktūb mujhe bhejā thā
maiñ ne ik umr se barsāt meñ rakkhā huā hai
raunaq-e-shahr kabhī raas nahīñ aa.ī 'zakī'
dil ko bahlā ke mazāfāt meñ rakkhā huā hai