jo kuchh numāyāñ huā al-amāñ ma.āz-allāh
talattuf-o-karam-e-dostāñ ma.āz-allāh
kahegī vo nigah-e-itimād-e-āgīñ kyā
khuleñgī jab mirī ayyāriyāñ ma.āz-allāh
vo rāh-e-ishq meñ dil kī ma.āl-andeshī
vo merī aql kī nādāniyāñ ma.āz-allāh
phir un ke lutf kā mausam palaT ke aa.egā
taḳhaiyyulāt kī gul-kāriyāñ ma.āz-allāh
ye mai-kada to nahīñ ye to sehan-e-masjid hai
ye aa gayā maiñ kahāñ se kahāñ ma.āz-allāh
kabhī thā dār-e-vafā kū-e-ishq aur ab hai
qimār-ḳhāna-e-sūd-o-ziyāñ ma.āz-allāh
'nazīr' qissa-e-zaḳhm-e-nihāñ kahūñ kis se
ye dāstāñ hai bahut ḳhūñ-chakāñ ma.āz-allāh