Nazeer Muzaffarpuri

gum-ba-KHud begana-e-har-aish-e-mahfil ho gae

Nazeer Muzaffarpuri

gum-ba-ḳhud begāna-e-har-aish-e-mahfil ho ga.e
un se mil kar aur bhī tanhā ham ai dil ho ga.e
kitnī nā-manzūr qadreñ thiiñ jo apnānī paḌīñ
kitne hī pyāre aqā.ed the jo bātil ho ga.e
ilm jab kuchh bhī na thā to is qadar jāhil na the
ilm kuchh hāsil huā to aur jāhil ho ga.e
zindagī kā lutf tūfāñ meñ hai tuġhyānī meñ hai
haif jo āsūda-e-āġhosh-e-sāhil ho ga.e
ye hai mai-ḳhāna adab lāzim hai ye masjid nahīñ
dair se aa.e saf-e-avval meñ shāmil ho ga.e
kaash ye samjheñ sitam-keshān-e-newyork ai 'nazīr'
koī hai jis ke liye ham un se ġhāfil ho ga.e
Top Urdushayar.com