Nazeer Muzaffarpuri

bas aur kya kahun is silsila mein tauba hai

Nazeer Muzaffarpuri

bas aur kyā kahūñ is silsila meñ tauba hai
mujhe jo pahuñchā hai dukh dostoñ se pahuñchā hai
mire vajūd se hairat meñ hai mufassir-e-aql
vo raaz huuñ jo na mastūr hai na ifshā hai
mujhe hayāt se hai is liye bhī dilchaspī
ye ek din kā nahīñ umr-bhar kā saudā hai
vo tere lutf-e-tabassum kī naġhmagī ai dost
ki jaise qaus-e-quzah par sitār bajtā hai
ye zindagānī ibārat ḳhalish se hai ya.anī
ḳhalish jo hai to chaman hai nahīñ to sahrā hai
haiñ terī ishva-garī ke ye muḳhtalif pahlū
kalīsā kyā hai haram kyā hai but-kada kyā hai
'nazīr' qissa-e-zaḳhm-e-nihāñ kahūñ kis se
ye dāstān-e-alam saḳht rūh-farsā hai
Top Urdushayar.com