Anjum Niyazi

be-hifazat hi mera ganj-e-maani rah gaya

Anjum Niyazi

be-hifāzat hī mirā ganj-e-ma.ānī rah gayā
ret par likh kar maiñ ḳhud apnī kahānī rah gayā
chal diye sab dost mujh ko Dūbtā hī chhoḌ kar
ġham baTāne ke liye dariyā kā paanī rah gayā
jab kabhī kholī hai maiñ ne biite lamhoñ kī kitāb
der tak paḌhtā maiñ tahrīreñ purānī rah gayā
jhaḌ ga.e patte mire jitne mirī shāḳhoñ pe the
ban ke apnī ek dhundlī sī nishānī rah gayā
jam gayā hai barf kī sūrat mirā saarā badan
duur mujh se duur sūraj āñ-jahānī rah gayā
lafz thak kar so ga.e kāġhaz ke pahlū meñ magar
jāgtā anjum mirā husn-e-ma.ānī rah gayā
Top Urdushayar.com