Anjum Niyazi

meri aawaz sun kar zindagi bedar ho jaise

Anjum Niyazi

mirī āvāz sun kar zindagī bedār ho jaise
tirī āvāz kā saaya ufuq ke paar ho jaise
tulū-e-sub.h kā manzar mire andar hai ḳhvābīda
mire andar zamānoñ kī hasīñ takrār ho jaise
maiñ har dīvār ke donoñ taraf yuuñ dekh letā huuñ
mirā hī dūsrā hissa pas-e-dīvār ho jaise
shajar kī Tahnī Tahnī meñ haiñ kitne raaz poshīda
har ik jañgal kā har ik peḌ pur-asrār ho jaise
abhī ham ghūmte phirte haiñ be-samtī ke jañgal meñ
hamārā zindagī bhar kā safar be-kār ho jaise
maiñ gahre pāniyoñ meñ Dūbtā 'anjum' jazīra huuñ
mirī duniyā parindoñ kī hasīñ chahkār ho jaise
Top Urdushayar.com