zindagī apnī qarīne se basar hotī nahīñ
muḳhtasar kartā huuñ lekin muḳhtasar hotī nahīñ
de gayā tārīkiyāñ itnī vo ahl-e-shahr ko
sar pe sūraj aa gayā phir bhī sahar hotī nahīñ
pahle apne saath chalte the sitāre shauq se
ab to apnī raushnī bhī ham-safar hotī nahīñ
is tarah chup-chāp mere paas aa jaate haiñ log
ghar ke darvāze kī chaukhaT ko ḳhabar hotī nahīñ