ye shāḳh-e-hunar apnī jo gul-e-rez rahī hai
majrūh tah-e-ḳhanjar-e-chañgez rahī hai
dam lo ki zarā qāfila-e-vaqt bhī aa le
yaañ gardish-e-paimāna baḌī tez rahī hai
insānoñ ke dukh-sukh meñ barābar rahī shāmil
ye tab.a jo zāhir meñ kam-āmez rahī hai
us ġhamza-e-pinhāñ kī halāvat bhī atā ho!
jis bin mai-e-ishrat bhī ġham-añgez rahī hai
sad ma.arka-e-nūr-o-ziyā dil ko hai darpesh
ye merī ḳhudī kitnī ḳhud-āvez rahī hai
har sub.h tan-e-zār ko kuchlā huā paayā
bas rūh-e-tapish-dīda sahar-ḳhez rahī hai
piite rahe ham us ko tire husn kī ḳhātir
sāqī! ye tirī mai ki sam-āmez rahī hai
vaañ ġhunche khile aur yahāñ zaḳhm rise haiñ
har mauj-e-sabā ḳhanjar-e-ḳhūñ-rez rahī hai