kuchh husn-e-vafā ke dīvāne phir ishq kī raah meñ kaam aa.e
ai kaash tamāshā karne ko ḳhud tū bhī kanār-e-bām aa.e
alfāz na the āvāz na thī naama bhī na thā qāsid bhī na thā
aise bhī ka.ī paiġhām ga.e aise bhī ka.ī paiġhām aa.e
shab mai-ḳhāne kī mahfil meñ arbab-e-jafā kā zikr chalā
chup sunte rahe ham Darte rahe terā bhī na un meñ naam aa.e
ham garche falak-parvāz bhī haiñ aur tāroñ ke hamrāz bhī haiñ
sayyād pe aayā rahm hameñ ḳhud shauq se zer-e-dām aa.e
phir lāla-o-gul kī nagrī se iThlātī huī aa.ī hai sabā
ai ahl-e-qafas chup-chāp suno! phūloñ ke tumheñ paiġhām aa.e
ye baat alag hai paas rahā kuchh tishna-labī kī ġhairat kā
ham par bhī rahā saaqī kā karam ham tak bhī bahut se jaam aa.e
shab kitnī bojhal bojhal hai ham tanhā tanhā baiThe haiñ
aise meñ tumhārī yaad aa.ī jis tarah koī ilhām aa.e