'hairat' ke dil pe vaar kiyā haa.e kyā kiyā
ḳhud ko bhī be-qarār kiyā haa.e kyā kiyā
mujh ko na thā ḳhud apnī nigāhoñ pe e'tibār
aur us ne e'tibār kiyā haa.e kyā kiyā
jitnā hī maiñ ḳharāb huā nā-tavāñ huā
utnā hī us ne pyaar kiyā haa.e kyā kiyā
maiñ us se bad-gumāñ rahā uf ai fareb-e-ishq
aur us ne mujh ko pyaar kiyā haa.e kyā kiyā
hañs hañs ke apnā dāman-e-rañgīñ diyā mujhe
aur maiñ ne taar taar kiyā haa.e kyā kiyā
miltā thā ik nazar se mirī ruuh ko qarār
us ne bhī be-qarār kiyā haa.e kyā kiyā