mahram-e-rāz-e-haram huuñ vāqif-e-but-ḳhāna huuñ
maiñ rah-o-rasm-e-mohabbat kā magar dīvāna huuñ
maiñ na be-qīmat ḳhazaf huuñ aur na la.al-e-be-bahā
maiñ to arbāb-e-nazar ke zarf kā paimāna huuñ
merī rag rag meñ hai mauj-e-zindagī raqsāñ magar
ik lab-e-jāñ-baḳhsh ko tarsā huā paimāna huuñ
huuñ ba-zāhir naqsh kuchh bikhre hue alfāz kā
tum jo ai jān-e-jahāñ samjho to ik afsāna huuñ
merī pāmālī ke charche tum bhī sun loge kabhī
apne gulshan meñ huuñ lekin sabza-e-begāna huuñ
DhūñDne nikleñge mujh ko ek din ahl-e-vafā
dafn hai ganjīna-e-dil jis meñ vo vīrāna huuñ