Karam Haidari

dil mein tufan uThate hue jazbaat bhi hain

Karam Haidari

Mari, Punjab, Pakistan

1918
dil meñ tūfān uThāte hue jazbāt bhī haiñ
ham haiñ ḳhāmosh ki kuchh apnī rivāyāt bhī haiñ
mohtasib hī se nahīñ nāla-ba-lab jām-o-subū
sañg uThā.e hue ḳhud ahl-e-ḳharābāt bhī haiñ
mastiyoñ meñ kabhī mil jaate haiñ insāñ ab bhī
jaise sahrāoñ meñ shādāb maqāmāt bhī haiñ
dekhiye mujh se vo kab aa ke gale miltā hai
the jo mere vahī ab ġhair ke hālāt bhī haiñ
ashk hī ashk nahīñ ġhaur se dekhoge agar
in sulagtī huī āñkhoñ meñ hikāyāt bhī haiñ
un ke dāman pe lahū kis ko yaqīñ aa.egā
jin ke chehroñ pe taqaddus kī alāmāt bhī haiñ
kyā kahīñ kaun sī rāhoñ meñ haiñ pāmāl 'karam'
ham ki zinda haiñ magar kushta-hālāt bhī haiñ
Top Urdushayar.com