ba-qadr-e-shauq nahīñ lutf-e-mahfil-ārā.ī
shadīd-tar hai sar-e-bazm apnī tanhā.ī
kahāñ vo sho.ala-navā.ī kahāñ ye ḳhāmoshī
badal ga.e haiñ zamāne ki tere saudā.ī
mirī fuġhāñ ko to samjheñge log merā junūñ
tirā sukūt na ban jaa.e vaj.h-e-rusvā.ī
sadaf sadaf hai shikār-e-talātum-e-dariyā
kisī guhar meñ to paidā ho shān-e-yaktā.ī
na fikr-o-hosh na qalb-o-nazar na zarf-o-zamīr
nayā jahāñ hai na.ī ḳhusravī-o-dārā.ī
charāġh-e-rāh-e-mohabbat thī ḳhāk-e-ahl-e-vafā
qadam qadam pe 'karam' raushnī nazar aa.ī