ham kis shab-e-siyāh ke dāman meñ bas ga.e
terī ziyā-e-ruḳh ko dil-o-jāñ taras ga.e
murjhā rahī haiñ apnī umañgoñ kī koñpleñ
bādal na jaane kaun sī jānib baras ga.e
ujḌe the dil so ujḌe hue haiñ kuchh aur bhī
kyā kyā na varna kūcha-o-bāzār bas ga.e
āvārgān-e-shauq ne manzil na kī qubūl
gulshan kā dar khulā to vo sū-e-qafas ga.e
hai hijr-e-dostāñ bhī karam dard-e-jāñ-fazā
āñkhoñ meñ jo base the vo ab dil meñ bas ga.e