suḳhan ke ā.inoñ ko paash paash karte rahe
ham apne lafzoñ meñ ma.anī talāsh karte rahe
lāvaToñ se raqīboñ ne jab bhī bahlāyā
mohabbatoñ ke sabhī raaz faash karte rahe
bachā thā kuchh jo ragoñ meñ lahū tamannā kā
usī ko bech ke hāsil ma.āsh karte rahe
shikast-e-rañg se ḳhushbū bhī reza reza huī
chaman meñ ham yahī reze talāsh karte rahe
anā kī raakh hai lipTī huī chaTTānoñ se
ye kaun log yahāñ būd-o-bāsh karte rahe
bichhaḌ ga.e the sar-e-shām hī jo ham se 'karam'
ham un sitāroñ ko shab-bhar talāsh karte rahe