paate haiñ kuchh kamī sī tasvīr-e-zindagī meñ
kyā naqsh chhoḌ aa.e ham dasht-e-be-ḳhudī meñ
zinjīr-e-āgahī se shamshīr-e-āgahī tak
kyā kyā maqām aa.e dil kī sipah-garī meñ
jī dekhne ko tarse dekhūñ to kis nazar se
tūfān-e-ḳhīrgī hai jalvoñ kī raushnī meñ
hastī bajā.e ḳhud hai ik kār-gāh-e-hastī
ham mast-bandagī meñ vo banda-parvarī meñ
DhūñDe se bhī na paa.ī sadiyoñ kī justujū ne
shāmil thī jo tajallī tartīb-e-unsurī meñ
vo shai kahāñ hai pinhāñ ai mauj-e-āb-e-haivāñ
jo vaj.h-e-sar-ḳhushī thī barsoñ kī tishnagī meñ