ab kaun sī matā-e-safar dil ke paas hai
ik raushani-e-sub.h thī vo bhī udaas hai
ik ek karke faash hue jā rahe haiñ raaz
shāyad ye kā.enāt qarīn-e-qayās hai
samjhā ga.ī ye talḳhi-e-paiham firāq kī
ik muzhda-e-visāl meñ kitnī miThās hai
har chiiz aa rahī hai nazar apne ruup meñ
utrā huā fareb-e-nazar kā libās hai
ik gardish-e-davām meñ roz azal se hai
vo chashm-e-bā-ḳhabar ki jo mardum-shanās hai
fitrat kahāñ thī apnī 'tamannā.ī' shabnamī
lekin kisī kī sho.ala-nigāhī kā paas hai