yūñhī kaTe na rahguzar-e-muḳhtasar kahīñ
paḌte haiñ paa.e shauq kahīñ aur nazar kahīñ
mauhūm-o-muḳhtasar sahī pesh-e-nazar to hai
dekhā kisī ne ḳhvāb ye bār-e-digar kahīñ
mā.il-ba-justujū haiñ abhī ahl-e-ishtiyāq
duniyā.eñ aur bhī haiñ varā-e-nazar kahīñ
baaqī abhī qafas meñ hai ahl-e-qafas kī yaad
bikhre paḌe haiñ baal kahīñ aur par kahīñ
ab ham haiñ aur tilism-e-tamannā kī vus.ateñ
DhūñDe se bhī na mil sakī rāh-e-mafar kahīñ
har fāsla hai jalva-gah-e-mauj-e-ittisāl
ya.anī jabīn-e-shauq kahīñ sañg-e-dar kahīñ
sadiyoñ kā iztirāb 'tamannā.ī' sauñp duuñ
mil jaa.e koī lamha-e-fursat agar kahīñ