Aziz Tamannai

jis ko chalna hai chale raKHt-e-safar bandhe hue

Aziz Tamannai

1926
jis ko chalnā hai chale raḳht-e-safar bāñdhe hue
ham jahāñ-gasht haiñ uTThe haiñ kamar bāñdhe hue
yuuñ to har gaam ka.ī daam haiñ dasht-e-shab meñ
ham bhī aa.e haiñ par-o-bāl-e-sahar bāñdhe hue
sū-e-aflāk safīrān-e-duā jaa.e haiñ
Dar hai lauT aa.eñ na zanjīr-e-asar bāñdhe hue
ahl-e-zindāñ haiñ abhī muntazir-e-fasl-e-bahār
shāḳh-e-fardā se ḳhayāl-e-gul-e-tar bāñdhe hue
dasht-e-imkāñ meñ koī saath mirā de na sakā
kitne rahbar mile dastār-e-ḳhizar bāñdhe hue
koī āġhosh kushāda hai na vā koī nazar
ya.anī jo dar hai koī parda-e-dar bāñdhe hue
bujh ga.ī sham.a nazar muñd ga.iiñ shab kī āñkheñ
sub.h ab aa.ī hai pushtāra-e-zar bāñdhe hue
ham 'tamannā.ī' jahān-e-guzarāñ kī rau meñ
sū-e-shabnam chale ummīd-e-sharar bāñdhe hue
Top Urdushayar.com