dil meñ vo dard uThā raat ki ham so na sake
aise bikhre the ḳhayālāt ki ham so na sake
thapkiyāñ dete rahe ThanDī havā ke jhoñke
is qadar jal uThe jazbāt ki ham so na sake
āñkheñ taktī rahīñ taktī rahīñ aur thak bhī ga.iiñ
hā.e-re pās-e-rivāyāt ki ham so na sake
ye bhī sach hai ki na hushiyār na bedār the ham
ye bhī sachchī hai magar baat ki ham so na sake
ek do pal ke liye ham ko atā ho jaa.e
niiñd ai qibla-e-hājāt ki ham so na sake
sāz-e-daurāñ pe kuchh is tarah se añgusht-e-hayāt
chheḌtī jaatī thī naġhmāt ki ham so na sake
ek sannāTā thā āvāz na thī aur na javāb
dil meñ itne the savālāt ki ham so na sake
jhilmilāte rahe tārīk shabistāñ ke pare
aise biite hue lamhāt ki ham so na sake
raat bhar dasht-e-tasavvur meñ bhaTakte hī rahe
jaane kyā un se huī baat ki ham so na sake
umr bhar yuuñ to 'tamannā.ī' rahe tesha-ba-kaf
itnī sañgīn thī har raat ki ham so na sake