baḌhne de abhī kashmakash-e-tār-e-nafas aur
ai gosh-bar-āvāz zarā der taras aur
ham mā.il-e-parvāz rahe jitnī lagan se
uThtī hī ga.ī utnī hī dīvār-e-qafas aur
ye ātish-e-shauq aur ye do-chār phuvāreñ
ai abr-e-siyah-mast zarā khul ke baras aur
ik qāfila-e-zīst bichhaḌ jaa.e to kyā ġham
aatī hai bahut duur se āvāz-e-jaras aur
fardā meñ bahāroñ ke nishāñ DhūñDne vaalo
kyā hogā zamāne kā chalan ab ke baras aur
ham ne jo 'tamannā.ī' bayābān-e-talab meñ
ik umr guzārī hai to do-chār baras aur