jism-o-jāñ par kisī jogī kā maiñ saaya dekhūñ
ishq kī taal pe jogan kā thiraknā dekhūñ
apne chehre pe terī āñkhoñ kā pahra dekhūñ
pyaas dariyā kā samundar meñ samānā dekhūñ
qatra qatra jo nasha ishq kā utrā mujh meñ
rafta rafta tirī sāñsoñ meñ utartā dekhūñ
pahle misra.a meñ tujhe bāñdh liyā hai maiñ ne
dūsre misra.a meñ ab ḳhud kā baserā dekhūñ
abr ban barse mere khet se guzrā hai abhī
mausam-e-āb meñ fasloñ ko jhulastā dekhūñ
chashm kī jhiil meñ vo aks utar jaa.e phir
shab to aadhī ho magar chāñd ko puurā dekhūñ
aarzū meñ tirī bal khaa.e chalī jā.ūñ 'suman'
jab kisī bel ko maiñ peḌ se lipTā dekhūñ