har ek rañg meñ yuuñ Duub kar nikharte rahe
ḳhutūt naqsh-e-musavvir meñ rañg bharte rahe
ḳhudā bachā.e bagūloñ kī zad meñ aa.e haiñ
vo barg-e-sabz jo mauj-e-havā se Darte rahe
unhīñ ke paañv se lipTī huī hai mauj-e-hayāt
jo be kanār samundar ke paar utarte rahe
kahāñ thī jur.at-e-nazzāra-e-jamāl-e-sahar
agarche gesū-e-shab rāt-bhar sañvarte rahe
vahīñ bahār-ba-kaf qāfile lapak ke chale
jahāñ jahāñ tire naqsh-e-qadam ubharte rahe
agarche basta-e-dām-e-ḳhayāl the lekin
kushūda uqda-e-lail-o-nahār karte rahe
unhīñ ke saath hai apnā safar 'tamannā.ī'
vo ḳhush-ḳhirām jo har daur se guzarte rahe