Aziz Tamannai

KHalwat hui hai anjuman-ara kabhi kabhi

Aziz Tamannai

1926
ḳhalvat huī hai anjuman-ārā kabhī kabhī
ḳhāmoshiyoñ ne ham ko pukārā kabhī kabhī
le de ke ek sāya-e-dīvār-e-ārzū
detā hai rahravoñ ko sahārā kabhī kabhī
kis darja dil-fareb haiñ jhoñke umiid ke
ye zindagī huī hai gavārā kabhī kabhī
sauñpā hai ham ne jis ko har ik lamha-e-hayāt
ai kaash ho sake vo hamārā kabhī kabhī
ai mauj-e-ḳhush-ḳhirām zarā tez tez chal
bantī hai sat.h-e-āb kināra kabhī kabhī
dast-e-tahī baḌhā.iye kis ishtiyāq se
TuuTā hai shāḳh-e-shab se jo taarā kabhī kabhī
hadd-e-nazar ke paar 'tamannā.ī' kaun hai
mahsūs ho rahā hai ishārā kabhī kabhī
Top Urdushayar.com