zindagī yuuñ to guzar jaatī hai ārām ke saath
kashmakash sī hai magar gardish-e-ayyām ke saath
rif.ateñ dekhtī rah jaatī haiñ us kī parvāz
vo tasavvur ki hai vābasta tire naam ke saath
mil hī jā.egī kabhī manzil-e-maqsūd-e-sahar
shart ye hai ki safar karte raho shaam ke saath
dām-e-hastī hai ḳhush-ā.ind bhī dilkash bhī magar
uḌte jaate haiñ giraftār usī daam ke saath
jab kisī lamha-e-daurāñ ko TaTolā ham ne
rū-e-āġhāz nazar aayā hai anjām ke saath
un rivāyāt ko dohrāte haiñ ham az-sar-e-nau
vo jo mansūb haiñ sadiyoñ se tire naam ke saath
harf aa.e na 'tamannā.ī' kahīñ saaqī par
aaj mahfil meñ chale aa.e haiñ ham jaam ke saath