sitāre so ga.e to āsmāñ kaisā lagegā
jahān-e-tīrgī meñ ye jahāñ kaisā lagegā
bichhaḌ ke sāhiloñ se mauj-e-dil kaisī lagegī
bikhar ke āñdhiyoñ meñ bādbāñ kaisā lagegā
Thahar jā.eñgī jab ye kashtiyāñ kaisī lageñgī
guzar jā.egā jab āb-e-ravāñ kaisā lagegā
imārat Dhah chukī hogī jo sāñseñ TūTne se
to phir vo sāya-e-dīvār-e-jāñ kaisā lagegā
utar jā.egā rañg-e-āshiqī jab is ke ḳhuuñ se
to dil begāna-e-sūd-o-ziyāñ kaisā lagegā
qafas kaisā lagegā uḌ ga.e jab gaate panchhī
na hogā jab koī shor o fuġhāñ kaisā lagegā
bikhar jā.eñgī zanjīreñ sabhī zindāniyoñ kī
zavāl-e-naḳhvat-e-nā-mehrbāñ kaisā lagegā
bahut rañgīniyāñ hoñgī agarche rah meñ lekin
musāfir kho gayā to kārvāñ kaisā lagegā
jahāñ tum se bahut pahle pahuñch jā.eñge ham log
na jaane āḳhirī vo ḳhāk-dāñ kaisā lagegā