nigāh-e-mast se ojhal haiñ manzileñ dil kī
haiñ apnī āḳhirī sāñsoñ pe chāhateñ dil kī
bahā.e jaatā hai dariyā-e-ishq āḳhir tak
bhale hī laakh sambhāle hoñ dhaḌkaneñ dil kī
zarā sī der bhī baiThā nahīñ gayā nazdīk
havā sī ho ga.iiñ āvāra rāhateñ dil kī
jo ḳhud ko qābil-e-kār-e-jahāñ bhī rakhnā thā
to ham bhī ḳhaak hī kar Dāleñ ḳhvāhisheñ dil kī
isī meñ chain-o-sukūñ kyoñ hai jis ne chhīnā hai
samajh se hī raheñ bāhar haiñ sāzisheñ dil kī
pakaḌ rahī ho thakan jab vajūd ke baazū
uThā.e koī bhalā kaise vahshateñ dil kī
ye kis galī se 'suman' ishq apnā guzrā hai
lipaTtī hī ga.iiñ dāman se uljhaneñ dil kī