saath mausam ke havā ko bhī machal jaanā thā
dhuup ko shams kī bāhoñ meñ pighal jaanā thā
shaam se sub.h talak dil thā tirī sarhad meñ
aise hālāt meñ to tiir ko chal jaanā thā
aao ab dekho dhuāñ hote hue chhappar ko
yā to chiñgārī ke lagte hī sambhal jaanā thā
yaad yuuñ bhī nahīñ rakhne the hameñ kuchh rishte
baad ik vaqt ke matlab hī badal jaanā thā
us kī jānib se hī koshish meñ kamī thī varna
ab ke bhī tark-e-ta.alluq use khal jaanā thā
chaak ke haath khaḌe karne se pahle hī 'suman'
terī miTTī ko kisī shakl meñ Dhal jaanā thā