Ameer Khusrau

ze-haal-e-miskin makun taghaful durae nainan banae batiyan

Ameer Khusrau

Uttar pradesh, India

1253-1325
ze-hāl-e-miskīñ makun taġhāful durā.e naināñ banā.e batiyāñ
ki tāb-e-hijrāñ nadāram ai jaañ na lehū kaahe lagā.e chhatiyāñ
shabān-e-hijrāñ darāz chuuñ zulf o roz-e-vaslat chuuñ umr-e-kotāh
sakhī piyā ko jo maiñ na dekhūñ to kaise kāTūñ añdherī ratiyāñ
yakāyak az dil do chashm jaadū ba-sad-farebam ba-burd taskīñ
kise paḌī hai jo jā sunāve piyāre pī ko hamārī batiyāñ
chuuñ sham-e-sozāñ chuuñ zarra hairāñ z mehr-e-āñ-mah bagashtam āḳhir
na niiñd naināñ na añg chaināñ na aap aave na bheje patiyāñ
ba-haqq-e-āñ mah ki roz-e-mahshar ba-dād maarā fareb 'ḳhusrav'
sapīt man ke durā.e rākhūñ jo jaa.e pā.ūñ piyā kī khatiyāñ
Top Urdushayar.com