go zabāneñ laakh hoñ dil kī sadā to ek hai
jitne hoñ andāz lekin mudda.ā to ek hai
kuchh mahāzoñ par bahā.eñ kuchh bahā.eñ khet meñ
muḳhtalif jā par sahī ḳhūn-e-vafā to ek hai
har taraf se imtihāñ-gāh-e-vafā meñ jā.ūñgā
qissa-e-dār-o-rasan kā marhala to ek hai
daar ho maqtal ho yā ho tuur kā jalva kahīñ
jazba-e-zauq-e-mohabbat kā sila to ek hai
maiñ samajhtā huuñ ye duniyā hai hasīnoñ se bharī
kyā karūñ zauq-e-nazar kā mudda.ā to ek hai
aah naale dard-o-ġham aḳhtar-shumārī raat kī
ai masīh-e-vaqt in sab kī davā to ek hai
duur hoñ chāra-garān-e-vaqt bas ab duur hoñ
'asr' kī taklīf kā dard-āshnā to ek hai