be-ḳhudī meñ jab tirī mahfil meñ dīvāne ga.e
ahl-e-dil ahl-e-havas ke farq pahchāne ga.e
kaise kaise haal meñ dekhā janāb-e-shaiḳh ko
mahfil-e-rindāñ meñ jab bhī va.az farmāne ga.e
mai-kash-e-āvāra is duniyā se kyā uTh kar gayā
mai ga.ī jām-o-subū sāqī-o-mai-ḳhane ga.e
ai hasīnān-e-jahāñ ahl-e-havas se hoshiyār
varna husn-o-ishq se marbūt afsāne ga.e
faisla-kun kis qadar thī haa.e zālim kī adā
dil-jigar qalb-o-nazar ke saare afsāne ga.e
apne apne bas kī bāteñ ahl-e-mahfil jaan leñ
sham-e-mahfil ke qarīñ phir liije parvāne ga.e
zindagī-bhar 'asr' go rindoñ ke ham-mashrab rahe
phir bhī dīvānoñ meñ farzāne se gardāne ga.e