Mohammad Naqi Rizvi Asr

KHudaya kash tujhi ko gawah kar lete

Mohammad Naqi Rizvi Asr

Allahabad, Uttar pradesh, India

1918
ḳhudāyā kaash tujhī ko gavāh kar lete
nigāh-e-ḳhalq se bach kar gunāh kar lete
hayāt ḳhud hī mire dard kī pāsbāñ hotī
urūs-e-marg se ik din jo chaah kar lete
falak na rahtā na rū-e-zamīñ kī rañgīnī
tumhāre jaur-o-sitam par jo aah kar lete
na karte jabr kisī par bhī log phir shāyad
jo iḳhtiyār pe apne nigāh kar lete
gadāgarī ke to ilzām se bache rahte
ham apne sar pe agar kaj-kulāh kar lete
hamārī fikr kā thoḌā sā to sila miltā
jo ahl-e-bazm hī kuchh vaah vaah kar lete
nibāh lete zamāne se ham bhī mar-khap kar
jo aap 'asar' ke dil meñ na raah kar lete
Top Urdushayar.com