Mohammad Naqi Rizvi Asr

na sar-nigun na ba-zahir udas udas chale

Mohammad Naqi Rizvi Asr

Allahabad, Uttar pradesh, India

1918
na sar-nigūñ na ba-zāhir udaas udaas chale
ajiib shaan se marne vafā-shanās chale
banā ke ḳhūgr-e-ehsās-e-dard-o-ġham-e-dil ko
hamāre paas se saare hujūm-e-yās chale
sunā ke ahl-e-junūñ ko bahār kā muzhda
havās vaale bhī ik samt bad-havās chale
hayāt naam hai aise safar kā ai hamdam
qadam qadam pe jahāñ fikr-e-ās-o-yās chale
zabāñ pe aa.e to Dar hai bane na afsāna
vo baat jis pe bahut har taraf qayās chale
hamārī dalq-navāzī pe rashk karne ko
sunā hai dair-o-haram se nazar-shanās chale
maza to jab hai bahāroñ kī faiz-o-baḳhshish kā
ki 'asr' jaam bhī be-arz-o-iltimās chale
Top Urdushayar.com